SEARCH WORDS, COUPLET, VERSE, SHAIR IN IQBAL POETRY

Thursday 13 February 2014

(Bal-e-Jibril-028) (مسلمان کے لہو میں ہے، سلیقہ دل نوازی کا) Musalman Ke Lahoo Mein Hai, Saliqa Dil Nawazi Ka

(Bal-e-Jibril-028) Musalman Ke Lahoo Mein Hai, Saliqa Dil Nawazi Ka

(Kabul Mein Likhe Gye)
(Written in Kabul)

Musalman Ke Lahoo Mein Hai, Saliqa Dil Nawazi Ka
Marawwat Husn-E-Alamgeer Hai Mardan-E-Ghazi Ka

Muslims are born with a gift to charm, to persuade;
Brave men—they are endowed with a noble courtesy.

Shikayat Hai Mujhe Ya Rab! Khudawand-E-Maktab Se
Sabaq Shaheen Bachon Ko De Rahe Hain Khaakbazi Ka

Slaves of custom are all the schools of old;
They teach the eaglet to grovel in the dust.

Bohat Muddat Ke Nakhcheeron Ka Andaz-E-Nigah Badla
Ke Main Ne Faash Kar Dala Tareeqah Shahbazi Ka

These victims of the past have seen the dawn of hope,
When I revealed to them the eagle’s ways.

Qalander Juz Do Harf-E-LA ILAHA Kuch Bhi Nahin Rakhta
Faqeeh-E-Sheher Qaroon Hai Lighat-E-Ha’ay Hijazi Ka

The man of God knows but two words of faith;
The scholar has tomes of knowledge old and new.

Hadees-E-Badah-O-Meena-O-Jaam Ati Nahin Mujh Ko
Na Kar Khara Shighafon Se Taqaza Shisha Sazi Ka

About wine and women I know not how to write;
Ask not a stone‐breaker to work on glass.

Kahan Se Tu Ne Ae Iqbal Seekhi Hai Darveshi
Ke Charcha Padshahon Mein Hai, Teri Be-Niazi Ka

O Iqbal! From where did you learn to be such a dervish:
Even among the kings there is talk about your contentment!

No comments:

Post a Comment