SEARCH WORDS, COUPLET, VERSE, SHAIR IN IQBAL POETRY

Tuesday, 8 April 2014

(Bang-e-Dra-088) (الہی عقل خجستہ پے کو ذرا سی دیوانگی سکھا دے) Elahi Aqal-e-Khajasta Pay Ko Zara Si Diwangi Sikha De

(Bang-e-Dra-088) Elahi Aqal-e-Khajasta Pay Ko Zara Si Diwangi Sikha De

Elahi Aqal-e-Khujasta Pe Ko Zara Si Diwangi Sikha De
Isse Hai Sodaye Bakhya Kari, Mujhe Sirr-e-Pairhan Nahin Hai

O God! Teach a little Love to my happy Intellect.
It loves fine stitching but my shirt has no collar

Mila Mohabbat Ka Souz Mujh Ko To Bole Subah-e-Azal Farishte
Misal-e-Shama-e-Mazar Hai Tu, Teri Koi Anjuman Nahin Hai

As I got Love’s ardor the angels said on azal’s morning
“You are like the grave’s candle, you have no assembly”

Yahan Kahan Hum-Nafas Mayyasar, Ye Dais Na-Ashna Hai Ae Dil !
Woh Cheez Tu Mangta Hai Mujh Se Ke Zair-e-Charakh-e-Kuhan Nahin Hai

No friend is available here, this land is friendless, O Heart!
You want something from me which does not exist under the sky

Nirala Sare Jahan Se Iss Ko Arab Ke Maamaar (S.A.W.) Ne Banaya
Bina Humare Hisar-e-Millat Ki Ithaad-e-Watan Nahin Hai

The Arab architect made it distinct from the whole world
The foundation of our nation’s fort is not geographical unity

Kahan Ka Ana, Kahan Ka Jana, Faraib Hai Imtiaz-e-Uqba
Namood Har Shay Mein Hai Humari, Kahin Humara Watan Nahin Hai

Why this coming and going, future’s concern is a conceit
We are manifest in everything, we do not have any homeland

Mudeer-e-‘Makhzan’ Se Koi Iqbal Ja Ke Mera Payam Keh De
Jo Kaam Kuch Kar Rahi Hain Qoumain, Unhain Mazaq-e-Sukhan Nahin Hai

Somebody should take my message to the Makhzan’s editor
Activist nations do not have taste for poetic literature!

No comments:

Post a Comment