SEARCH WORDS, COUPLET, VERSE, SHAIR IN IQBAL POETRY

Tuesday, 8 April 2014

(Bang-e-Dra-081) (ایک شام) Aik Sham

(Bang-e-Dra-081) Aik Sham

Aik Shaam
(Darye Naikar, Haidal Barg, Ke Kinare Par)


One Evening
(By The Neckar At Heidelberg)


Khamosh Hai Chandani Qamar Ki
Shakhain Hain Khamosh Har Shajar Ki

Silent is the moonlight pale,
The boughs of all the trees are still,

Wadi Ke Nawa Farosh Khamosh
Kuhsar Ke Sabz Posh Khamosh

The music‐maker of the vale
Hushed, and the green robes of the hill;

Fitrat Be-Hosh Ho Gyi Hai
Aghosh Mein Shab Ke So Gyi Hai

Fallen into a swoon creation
Sleeps in the bosom of the night,

Kuch Aesa Sukoot Ka Fasoon Hai
Naikar Ka Kharaam Bhi Sukoon Hai

And from this hush such magic grows,
No more now Neckar’s current flows;

Taron Ka Khamosh Karwan Hai
Ye Qafla Be-Dra Rawan Hai

Silent the starry caravan moves
Onward, no bell tinkling its flight,

Khamosh Hain Koh-o-Dasht-o-Darya
Qudrat Hai Muraqbe Mein Goya

Silent the hills and streams and groves,
All Nature lost in contemplation.

Ae Dil! Tu Bhi Khamosh Ho Ja
Aghosh Mein Gam Ko Le Ke So Ja

Oh heart, you too be silent: keep
Your grief hugged close, and sleep.

No comments:

Post a Comment