SEARCH WORDS, COUPLET, VERSE, SHAIR IN IQBAL POETRY

Monday 21 April 2014

(Bang-e-Dra-132) (ایک مکالمہ) Aik Mukalma

(Bang-e-Dra-132) Aik Muqalma

Aik Muqalma
A Dialogue

Ek Murgh-e-Sara Ne Ye Kaha Murhg-e-Hawa Se
Par-Dar Agar Tu Hai To Kya Main Nahin Par-Dar!

A domesticated bird once said to the wild bird
“If you have wings, do not I also have wings?

Gar Tu Hai Hai Hawa Geer To Hun Main Bhi Hawa Geer
Azad Agar Tu Hai, Nahin Main Bhi Griftar

If you are air‐borne, I am also air‐borne
If you are free I am also not a prisoner

Parwaz, Khasusiat-e-Har Sahib-e-Par Hai
Kyun Rehte Hain Murghan-e-Hawa Maeel-e-Pindar?

All winged creatures are characterized by flight
Why then are wild birds inclined to be arrogant!”

Majrooh-e-Hamiyat Jo Huwi Murgh-e-Hawa K
Yun Kehne Laga Sun Ke Ye Guftar-e-Dil Aazar

As the wild bird’s self‐respect became wounded
He spoke thus on hearing this heart‐rending talk

Kuch Shak Nahin Parwaz Mein Azad Hai Tu Bhi
Had Hai Teri Parwaz Ki Lekin Sirr-e-Diwar

“There is no doubt you also are free for flight
But the limit of your flight is only up to the wall

Waqif Nahin Tu Himmat-e-Murghaan-e-Hawa Se
Tu Khak Nasheman, Unhain Gardoon Se Sarokar

Are you unacquainted with the courage of the wild birds?
You live on the dust, they are concerned with the sky

Tu Murgh-e-Sarai, Khaurish Az Khak Bajooyi
Ma Dar Sadad-e-Dana Ba Anjum Zada Minqar

You are a household bird, you seek food in the dust
We strike the star with our beak in search of the grain” 

(Bang-e-Dra-131) (غلام قادر روحیلہ) Ghulam Qadir Ruhela

(Bang-e-Dra-131) Ghulam Qadir Ruhela

Ghulam Qadir Ruhela (Ruhilah)

Ruhela Kis Qadar Zalim, Jafa Joo, Keena Parwar Tha
Nikalain Shah-e-Taimoori Ki Ankhain Nauk-e-Khanjar Se

How cruel, tyrant and vindictive the Ruhilah was
He blinded the Mughal Emperor with the point of his dagger

Diya Ahl-e-Haram Ko Raqs Ka Farman Sitamgar Ne
Ye Andaz-e-Sitam Kuch Kam Na Tha Asaar-e-Mehshar Se

The tyrant ordered members of the royal household to dance
This tyranny was no less than the Judgment Day’s signal

Bhala Tameel Iss Farman-e-Ghairat Kush Ki Mumkin Thi!
Shahenshahi Haram Ki Nainaan-e-Saman Bar Se

For the delicate ladies of the royal household it was
Utterly impossible to comply with this shameless order

Banaya Ah! Saman-e-Tarab Bedard Ne Un Ko
Nihan Tha Husn Jin Ka Chasm-e-Mehr-o-Mah-o-Akhtar Se

Ah! The merciless one made them the means of pleasure
Whose beauty had been veiled from sun’s, moon’s and stars

Larazte The Dil-e-Nazuk, Qadam Majboor-e-Junbish The
Rawan Darya-e-Khoon, Shehzadiyon Ke Dida-e-Tar Se

The feeble hearts were throbbing, the feet were forced to move
A river of blood was flowing from the wet eyes of the princesses

Yunhi Kuch Dair Tak Mehw-e-Nazar Ankhain Raheen Uss Ki
Kiya Ghabra Ke Phir Azad Sar Ko Baar-e-Mighfar Se

For some time his eyes remained thus absorbed in seeing
In confusion he freed his head from the load of Mighfar

Qamar Se, Uth Ke Taigh-e-Jaan Satan, Aatish Fashan Kholi
Sabaq Aamoz-e-Tabani Hun Anjum Jis Ke Jouhar Se

He untied the deadly, fire‐spitting sword from the waist
Whose sharpness was a source of luminescence to the stars

Rakha Khanjar Ko Agay Aur Phir Kuch Soch Kar Leta
Taqaza Kar Rahi Thi Neend Goya Chasm-e-Ahmar Se

He put the dagger in front, and lied down in some thought
Sleep was demanding rest from the red eyes so to say

Bujhaye Khawab Ke Pani Ne Akhgar Uss Ki Ankhon Ke
Nazar Sharma Gi Zalim Ki Dard-Angaiz Manzar Se

The water of sleep extinguished the embers of his eyes
The tyrant’s sight became ashamed of the painful spectacle!

Phir Utha Aur Taimoori Haram Se Yun Laga Kehne
Shikayat Chahye Tum Ko Na Kuch Apne Muqaddar Se

He got up and started saying this to Taimur’s household
“You should have no complaint against your fate”

Mera Masnad Pe Sou Jana Banawat Thi, Takaluf Tha
Ke Ghaflat Door Hai Shaan-e-Saf Aryaan-e-Lashkar Se

My sleeping in the couch was a mere show, an affectation
Because stupor is foreign to the dignity of fighters

Ye Maqsad Tha Mera Iss Se, Koi Taimoor Ki Beti
Mujhe Ghafil Samajh Kar Maar Dale Mere Khanjar Se

It was my intention that some daughter of Taimur
Considering me unconscious might kill me with my own dagger,

Magar Ye Raaz Akhir Khul Gya Sare Zamane Par
Hamiyyat Naam Ha Jis Ka, Gyi Taimoor Ke Ghar Se

But at last this secret has dawned to the whole world
Concern for honor has departed from Taimur’s household.” 

(Bang-e-Dra-130) (محاصرہ ادرنہ) Muhasra'ay Adarna (The Siege of Adarianople)

(Bang-e-Dra-130) Muhasra'ay Adarna (THE SIEGE OF ADRIANOPLE)

Mahasra-e-Adarna
The Siege Of Adrianople

Yourap Mein Jis Ghari Haq-o-Batil Ki Chir Gyi
Haq Khanjar Aazmai Pe Majboor Ho Gya

When the struggle between Truth and falsehood began in Europe
The Truth was compelled on wielding the dagger

Gard-e-Saleeb, Gard-e-Qamar Halqa Zan Huwi
Shikri Hisar-e-Darna Mein Mehsoor Ho Gya

The dust of the Cross circled round the Crescent
Shakree became besieged in the fortress of Adrianople

Muslim Sipahiyon Ke Zakheere Huwe Tamam
Rooye Umeed Aankh Se Mastoor Ho Gya

Provisions of Muslim soldiers became exhausted
The face of hope from the eye became concealed

Akhir Ameer-e-Askar-e-Turkey Ke Hukm Se
‘Aaeen-e-Jang’ Sheher Ka Dastoor Ho Gya

At last by the Turkish army commander’s orders
“Martial Law” was proclaimed the law of the city

Har Shay Huwi Zakheera-e-Lashkar Mein Muntaqil
Shaheen Gadaye Dana-e-Usfoor Ho Gya

Everything was transferred to the army camp’s store
The eagle became beggar for the grain of the sparrow

Lekin Faqeeh-e-Sheher Ne Jis Dam Suni Ye Baat
Garma Ke Misl-e-Saeeqa-e-Toor Ho Gya

But when the Faqih of the city heard this news
He exploded with anger like the thunderbolt of Tur

‘Zimmi Ka Maal Lashkar-e-Muslim Pe Hai Haraam’
Fatwa Tamam Sheher Mein Mashoor Ho Gya

“Dhimmi’s” wealth is forbidden for the Muslim army”
This edict was published throughout the whole city

Chhuti Na Thi Yahood-o-Nasara Ka Maal Fouj
Muslim, Khuda Ke Hukm Se Majboor Ho Gya

The army would not touch the Jews’ and Christians’ wealth
The Muslim became compelled by the Command of God!

(Bang-e-Dra-129) (شبنم اور ستارے) Shabnam Aur Sitare

(Bang-e-Dra-129) Shabnam Aur Sitare

Shabnam Aur Sitare
The Dew And The Stars

Ek Raat Ye Kehne Lage Shabnam Se Sitare
Har Subah Naye Tujh Ko Mayassar Hain Nazare

One night the stars said to the dew:
‘Every morning you get to see new sights.

Kya Janiye, Tu Kitne Jahan Dekh Chuki Hai
Jo Ban Ke Mite, Un Ke Nishan Dekh Chuki Hai

Who knows how many worlds you have seen!
You have seen the traces left behind by those who once flourished but then perished.

Zohra Ne Suni Hai Ye Khabar Aik Malik Se
Insanon Ki Basti Hai Bohat Door Falak Se

Venus has heard this news from an angel:
Far, far from the heavens is the city of men.

Keh Hum Se Bhi Uss Kishwar-e-Dilkash Ka Fasana
Gata Hai Qamar Jis Ki Mohabbat Ka Tarana

Tell us the story of that beautiful realm
which is serenaded by the moon.

Ae Taro Na Pucho Chamanistan-e-Jahan Ki
Gulshan Nahin, Ek Basti Hai Woh Aah-o-Faghan Ki

‘Do not ask me, stars, about the garden of the world;
It is no garden, but a town filled with sighs and screams.

Ati Hai Saba Waan Se Palat Jane Ki Khatir
Bechari Kali Khilti Hai Murjhane Ki Khatir

The west wind arrives there, only to leave again;
The poor bud blooms, but only to Wither.

Kya Tum Se Kahun Kya Chaman Afroz Kali Hai
Nanha Sa Koi Shaola Besouz Kali Hai

How do I describe to you the bud that brightens the garden—
It is a tiny flame with no heat!

Gul-e-Nala-e-Bulbul Ki Sada Sun Nahin Sakta
Daman Se Mere Motiyon Ko Chun Nahin Sakta

The rose cannot hear the nightingale’s cry,
Or pick up pearls from the fold of my hem.

Hain Murgh-e-Nawa Raiz Giraftar, Ghazab Hai
Ugte Hai Teh-e-Saya-e-Gul Khar, Ghazab Hai

The songbirds are captive—what an outrage!
Thorns grow in the rose’s shadow‐what an outrage!

Rehti Hai Sada Nargis-e-Bimaar Ki Tar Aankh
Dil Talib-e-Nazara Hai, Mehroom-e-Nazar Ankh

The eyes of the ailing narcissus are never dry.
The heart longs to see, but the eyes are blind.

Dil Soukhta-e-Garmi-e-Faryad Hai Shamshad
Zindani Hai Aur Naam Ko Azad Hai Shamshad

The ardour of its complaint has burnt the tall tree’s heart;
The tree is a captive, and is free only in name.

Tare Sharar-e-Aah Hain Insan Ki Zuban Mein
Mein Girya-e-Gardoon Hun Gulistan Ki Zuban Mein

The stars ‐ in the language of men ‐ are sparks struck by human sighs;
In the language of gardens, I am the sky’s tears.

Nadani Hai Ye Gard-e-Zameen Touf Qamar Ka
Samjha Hai Ke Darman Hai Wahan Dagh Jigar Ka

It is foolish how the moon circles the earth—
It believes that the earth will heal the scar in its heart!

Bunyad Hai Kashana-e-Alam Ki Hawa Par
Faryad Ki Tasveer Hai Qartas-e-Faza Par

The world is a cottage built in the air—
A picture of lament drawn on the canvas of space.’

Thursday 10 April 2014

(Bang-e-Dra-128) (فاطمہ بنت عبدللہ) Fatima Bint-e-Abdullah

(Bang-e-Dra-128) Fatima Bint-e-Abdullah

Fatima Bint Abdullah
Arab Larki Jo Tarablas Ki Jang Mein Ghaziyon Ko Pani Pilati Huwi Shaheed Huwi

(1912)

Fatima! Tu Abroo-e-Ummat-e-Marhoom Hai
Zarra Zarra Teri Musht-e-Khak Ka Masoom Hai

Fatima, you are the pride of the Community ‐God bless it!
Your dust is holy, every particle of it.

Ye Sa’adat, Hoor-e-Sehrayi! Teri Qismat Mein Thi
Ghaziyan-e-Deen Ki Saqqayi Teri Qismat Mein Thi

You, houri of the desert,were fated to win such merit!
To give the soldiers of Islam water to drink was to be your good fortune.

Ye Jihad Allah Ke Raste Mein Be-Taegh-o-Sipar
Hai Jasarat Afreen Shauq-e-Shahadat Kis Qaddar

A jihad in the way of God, waged without sword or shield!
What courage the love of martyrdom gives!

Ye Kali Bhi Iss Gulistan-e-Khazan Manzar Mein Thi
Aesi Chingari Bhi Ya Rab, Apni Khakstar Mein Thi

O that in our autumn‐stricken garden there were flower‐buds like this!
O that a spark like this, dear Lord, could be found in our ashes!

Apne Sehra Mein Bohat Aahu Abhi Poshida Hain
Bijliyan Barse Huway Badal Mein Bhi Khawabida Hain!

In our desert many deer still hide! and in the spent clouds
Many flashes of lightning still lie dormant!

Fatima! Go Shabnam Afshan Ankh Tere Gham Mein Hai
Naghma-e-Ishrat Bhi Apne Nala-e-Matam Mein Hai

Fatima, though our grieving eyes weep tears like dew over you,
Our dirge is also a celebration song.

Raqs Teri Khak Ka Kitna Nishat Angaiz Hai
Zarra Zarra Zindagi Ke Souz Se Labraiz Hai

How thrilling is the dance of your dust,
Every atom of which is charged with life.

Hai Koi Hangama Teri Turbat-e-Khamosh Mein
Pal Rahi Hai Aik Qoum-e-Taza Iss Aghosh Mein

There is stirring in your quiet grave:
Within it a new nation is being reared.

Bekhabar Hun Gharche Un Ki Wusaat Se Mein
Afreenash Dekhta Hun Un Ki Iss Marqad Se Mein

Though I know nothing of the range of its ambition,
I see them spring to life from this tomb.

Taza Anjum Ka Faza’ay Asman Mein Hai Zahoor
Didah’ay Insan Se Na-Mehram Hai Jin Ki Mouj-e-Noor

New stars are appearing in the sky above,
Stars whose rolling waves of light have not been seen by the eyes of man;

Jo Abhi Ubhre Hain Zulmat Khana’ay Ayyam Se
Jin Ki Zou Na Ashna Hai Qaid-e-Subah-o-Sham Se

Stars just risen out of the dark dungeon of time,
Stars whose light is not hostage to day and night;

Jin Ki Tabani Mein Andaz-e-Kuhan Bhi, Nau Bhi Hai
Aur Tere Koukab-e-Taqdeer Ka Parto Bhi Hai

Stars whose radiance is both old and new,
And partakes of the splendor of the star of your destiny too.